Kya insaan ka
khaas ya khaas na hona hi sab kuch hai
Aaj ki so called perfectionist duniya me har
koi perfect hona chahta hai , perfect
dikhna chahta hai , kyonki hume baar
baar ahsaas dilaya gya hai ( kabhi tv
par aa rahe advertisement ke zariye to
kabhi kisi kaamyab shakhs ki zindagi ka vo adhoora sach bata kar jo sirf uski
zindagi ka ek pahlu bhar hota hai) ki
kamyaab hone k liye perfect hona bahut zaroori hai. Agar aap perfect nahi, to
aap kamyaab nahi ho sakte.
Dusra hume ahsaas dilaya jata hai ki jo log
kaamyaab hai vo bachpan se hi khaas(unique) the or yahi vajah hai ki vo kaamyaab hai
yaani hame is baat ka ahsaas dila diya jata hai ki kaamyaab hone ke liye khaas(unique) hona bahut zaroori hai iska matlab ye
hua ki agar aap khaas(unique) nahi hai to aap ko kamyab hone ka koi haq nahi hai.
Yahi
vajah hai ki bachpan se bachchon ko ye bataya jata hai ki tum khaas(unique) ho or tumhe
perfect hone ki zaroorat hai. Lekin kya sach me pecfection jaisa kuch hota bhi
hai.
Ek example ke
liye jaise koi crickter apne khel
me bahut mahir hai lekin kya ye zaroori hai ki vo khana banane me bhi mahir ho ya
fir padhne me bahut achcha ho lekin logo ko use dekhne ka nazriya yahi hota hai
ki vo perfect hai, jo ki zaroori nahi hai. ho sakta vo apna bed saaf bhi na rakh
pata ho , cheezen yahan vahan bikhri rahti ho.
Kuch log kahenge ki vo itna achcha
isliye hai kyon ki vo bachpan se hi khaas tha or Uske mahir hone vajah uska
khaas hona hai na ki uski mahnat or determination.
Lekin jab aap us se puchenge ki kya vo khaas hai to vo aap ko bataega ki vo apne kaam ko lekar kitna
zimmedar hai , vo kitni mahnat karta hai, or jab aap usse puchenge ki kya sach
me vo perfect hai to shayad uske javaab na hoga, vo aap ko bataega ki kitne hi
kaam hai jinhe vo achcche se to kya, sahi se bhi nahi kar pata hai.
Yaani kaamyab hone ya safal hone ke liye
pefect hone ya khaas hone ki zaroorat nahi hai balki perfection jaisi koi cheez
hoti hi nahi hai .
Iska ek matlab ye bhi hua ki aapko khaas banne ki bhi zaroorat nahi hai, Aapko zaroorat hai zimmedar banne ki or
mahnat karne ki.
Aajkal ye bahut aam ho gya ki kuch
log khud ko khaas mante hai or jab vo kisi kaam ko sahi se nahi kar paate hai
to khud dosh dene lagte or mental dis-order ka shikar ho jate hain, vo mante ki
kisi bhi kaam sirf ek hi baar me sahi karna zaroori hai or aisa isliye sochte
hai kyonki vo khaas hai ( iska ahsaas unhe bachpan se dilya jata hai) to unhe
har kaam pahli baar me sahi se karna chahiye jo ki sahi nahi hai.
Or kuch log kisi bhi kaam ko karte hi nahi hai,
kyonki unhe lagta hai ki vo khaas nahi hai, vo kuch sahi se nahi kar sakte is baat
ka ahsaas bhi unhe bachpan se dilaya gya hota hai.
Haan khaas hone ka ahsaas aapko ko
kuch kaam karne me madad to karta lekin jab aap kisi kaam ko nahi kar paate to
ye aap ke liye ek pareshani ka sabab bhi ban jata hai, to aisa kya hai jisse
hum is pareshani bach sake?
Vo hai lagan , zimmedari or mahnat.
Kyonki hum ek insaan ke roop me paida
hue hai, hume sabse bahtar banaya gya hain (jaise ki jab koi machine banai jaati
hai to use banane ki ek vajah hoti, use kisi kaam ke liye banaya jata hai) to fir
hume banane wale ne bhi hume banane ke peeche koi na koi vajah zaroor rakhi hogi,
yaani hum koi na koi kaam karne ke liye hi banaye gye hai. (. Ab yahan sawal
aata hai ki kya kaam karne ke liye machine ka khaas hona zaroori hai to jawab
hai bilkul nahi, machine ka khaas hona zaroori nahi balki zaroori hai machine
ka vo kaam karna jiske liye use banaya gaya hai) iska matlab ye hua hume apne
banne ki vajah pata honi chahiye or bina kuch soche vo kaam karna chahiye. Hume
apna kaam zimmedari se karna chahiye. Jitni lagan or mahnat hum vo kaam
karenge, kaam utna hi bahtar hoga , or hume ek alag hi tarah ka ahsaas hoga or
yahi vo ahsaas hai jise hum khud ko
khaas mankar ya dusre tareekon se talash karte hai.
Comments
Post a Comment