Posts

  Kya insaan ka khaas ya khaas na hona hi sab kuch hai Aaj ki so called perfectionist duniya me har koi perfect hona chahta hai   , perfect dikhna chahta hai ,   kyonki hume baar baar   ahsaas dilaya gya hai ( kabhi tv par aa rahe advertisement   ke zariye to kabhi kisi kaamyab shakhs ki zindagi ka vo adhoora sach bata kar jo sirf uski zindagi ka ek   pahlu bhar hota hai) ki kamyaab hone k liye perfect hona bahut zaroori hai. Agar aap perfect nahi, to aap kamyaab nahi ho sakte. Dusra hume ahsaas dilaya jata hai ki jo log kaamyaab hai vo bachpan se hi khaas(unique) the or yahi vajah hai ki vo kaamyaab hai yaani hame is baat ka ahsaas dila diya jata hai ki kaamyaab hone ke liye khaas(unique) hona bahut zaroori hai   iska matlab ye hua ki agar aap khaas(unique) nahi hai to aap ko kamyab hone ka koi haq nahi hai.   Yahi vajah hai ki bachpan se bachchon ko ye bataya jata hai ki tum khaas(unique) ho or tumhe perfect hone ki zaroorat hai. Lekin kya...